Pages

Thursday, 7 January 2016

Beauty Tips In Urdu Skin Care Tips In Urdu Home Remedies To Keep Skin Gorgeous

Beauty Tips In Urdu Khubsoorat Rehnay K Gharelo Totkay

Khubsoorat hona kamal nahi hai bal k khubsoorati ko maintain rakhna kamal hota hai. Hamarai society men bohat kam larkiya aisi hoti hen jo apni khubsoorati ko barqarar rakh pati hen. Ziyada tar khawateen shadi k bad apni care krna chor deti hein jis ka result ye niklta hai k un ka husband un par tawajjo dena kam kar deta hai jo k koi bhi aurat bardasht nai kar sakti.

Beauty Tips For Face

Tu sisters pareshan honey ki bilkul zroorat nahi mein aj batao ge apko k khubsoorat reh kar ap apnay husband ko kese khush rakh sakti hen.

Jild Ki Rangat Nikharnay Kay Liye:


Ghulab ka araq aur phatkari ka istemal jild ki rangat nikharnay k liye bohat faida mand hota hai. Is maqsad k liye thori c phatkari ghulab k araq men shamil kar k paste bana len aur rat ko sonay say pehlay chehray par lagaen aur 30 minute bad chehra dho len.

Rang Gora Krnay Wali Creams Istemal Nahi Kren:


Jild ki qudarti rangat barqarar rakhnay k liye zaroori hai k rang gora karnay wali cream ka istemal bilkul mat karen. Is sy rang waqti tor par to gora ho jata hai lekin bad men chehray ki qudarti rangat wapis nahi ati. Isliye in creams ka istemal krnay ki bajaye kisi achy moisturizer ka istemal kar len.

Lemon Ka Istemal:


Haftay men aik bar lemon ko kat kar chehray par iska masaj karnay say jild tar o taza hoti aur nikhar jati hai.
Home Remedies For Beautiful Skin


Makeup:


Jab bhi makeup kren to is bat ka khayal rakhen k rat ko sonay say pehlay makeup achi tarah say saf kar k soyen. Makeup products men bohat say asay chemicals hotay hein jo k ap ki jild ko nuqsan dete hein isliye rat ko kisi bhi achay face wash say chehra wash kar k soyen.


Khush Rehna Seekhen:


Hanstay muskuratay rehnay walay log zada khubsoorat aur shadab jild k malik hotay hein. Har waqat jalay rehnay walay log jald borhay ho jatay hein. Iliye koshish karen k khush rahen q k pareshan aur afsurda rehnay say chehray par jald jhuriya parh jati hein jo k ap kabi nai chahen gy k aik umar say pehlay nazar aen.


Facial Karwaen:


Chehray ki safae aur khubsoorti ko barqarar rakhnay kay liye mahinay men aik bar facial zaroor karwaen.


Gori Rangat K Liye:


Chehray ka rang qudarti tor par nikharnay k liye podineay k pattay pani men boil kar k is ka pani istemal karen.


Shehad Aur Dahi Ka Mask:


2 chamach shehad men 1 chamach shehad aur aik kela/banana shamil karen. Tamam cheezo ko mix kar k paste bana len aur chehray par lagaen. 10 minute bad chehra neem garm pani say dho len. Rang bhi gora hoga aur chehray ki shadabi bhi laut aye ge.
Skin Care Tips And Totkay In Urdu

No comments:

Post a Comment