Pages

Friday, 15 January 2016

How To Overcome Periods Pain In Urdu Mahowari ki Dard Kese Khatam Kren Tips And Totkay In Urdu

Natural Ways To Relieve Menstrual Pain How To Overcome Period Pain How To Deal With Period Cramps Periods Pain Solution in Urdu


Periods aik natural amal ha jis sy har lrki ko guzrna prta ha. Lekin periods k doran dard un hi girls ko hoti hai jin ko khoon ki kami hoti hai. Isliye khoon ki bottle kam nai aye ge bal k qudsrti tor par apny jism men khoon paida kren. Ayiye aj periods ki dard ko hamesha k liye khatam krny k chand tarikay seekhtay hen.



How To Get Rid Of Menstrual Pain Naturally

Araq E Ghulab:

Periods ki dard roknay k liye araq e ghulab bohat hi faida mand sabit hota ha. Kisi b qareebi store say asani say mil jaega. Is k liye adha cup araq e ghulab len aur garam doodh men mix kar k pi len. Agar chahen to zaiqay k liye cheeni bhi dal skty hen.

Thanda Pani:

Jis date ko apko periods atay hen wo date yad rakha kren aur us dat k aik ya 2 din pehlay sy hi thanday pani sy parhez kren. Jab periods aa jaen to thanda pani bilkul istemal mat kren bal k ho sky to sardiyo men neem garam pani istemal kren. Thanday pani sy khoon jam jata hai aur periods b ruk skty hen jis sy dard men aur izafa hoga.

Shower Kam Len:

Jese hi apk periods hon to nahae kam bal k koshish kren jitny din periods hon utny din nahanay ki bajaye wese hi kapry change kar len. Q k nahanay sy apk jism k andar pani chala jata ha jis sy hawa paida ho jati ha aur periods ana ruk skty hen. Aur wash room k time bhi pani istemal nai kren bal k kisi tissue ya kapry sy jism saf kr len.
How To Overcome Menstrual Pain Naturally Without Medicin

Heat:

Agar dard bohat ziada ho to pareshan mat hon bal k usko khatam krny ki koshish kren. Is k liye pani garam kren aur aik plastic ki bottle men dal kar dakkan band kren aur is say dard wali jaga par sake kren. Dusry tareqay men aik mota kapra khes wgera ly kar dard wali jaga par rakhen aur upar garam istri say sake kren. InshALLAH dard men afaqa hoga.

Ghutnay jor kar bethen:

Jab periods aye hon to girls ko chahiye k wo ziada tangay phela kar mat bethen. Is say pait ki naloo men khinchao paida hota ha jis sy dard mehsoos hoti hai. To jab dard ho ghutnay pait k sath jor kar bethen 10-15 minute asay bethnay say dard men kami mehsoos hoge.
Periods Pain Solution In Urdu

Tablet Mat Len:

Aksar dekhnay men aya hai k jab dard bardasht nai hoti to girls tablet le kar yak dam dard khatam krny ki koshish krti hen. Jis say waqti tor par to dard men aram ajata hai par bad men wohi tablet aram nai deti q k apka jism us ka adi ho jata hai aur shadi k bad pregnancy men b bohat mushkilat sirf is pain killer tablet ki waja sy hi paida hoti hen. Isliye dard khatam krnay k liye tablet har giz mat khaen.
Mahowari Tips & Totkay In Urdu

Fruits Istemal Kren:

Jesa k upar bayan kiya gaya hai k dard un bachiyo ko ziada hoti hai jin ko khoon ki kami hoti hai. Isliye jitna ho skay fruits ko apni ghiza men shamil kren. Gajar juice, apple, red grapes juice ka ziada istemal kren. Ye cheezen jism men qudarti tor par khoon paida krti hen aur fast foods khanay ki bajaye ghar ki daal roti shoq say khaen.

Khana Khaen:

Girls is bat py agree kren ge k jab periods atay hen to bhook jese mit jati hai. Khana khanay ko bilkul dill nahi krta. Aisa q hota ha........????? to my dear periods ki waja say apko kamzori ho jati ha jis ki waja say bp low ho jata hai aur dard bardasht nai hoti. Isliye khanay say mouh mat moren. Roti pait bhar k khaen q k anaj men ALLAH nay jitni taqat rakhi hai itni taqat kisi cheez men nai hai. Roti khanay say apko dard men bohat faraq mehsoos hoga.

Anday Aur Doodh Ka Istemal:

Anday ki taseer garam hoti hai aur doodh sehat ka zamin hota hai. Jab bhi periods hon to aik cup doodh men aik anday ko achi tarah phaint kar pi jaen. ImshALLAH dard bhagti nazar nai aye ge aur kisi tablet ki zaroorat nai prege.
Menstrual  Pain Tips And Totkay In Urdu

No comments:

Post a Comment