Dahi Bhallay Bananay Ka Tarika How to Make Dahi Bhallay At Home
Ingredients/Ajza:
Dahi 1kg
Potatoes 2 adad
Payaz 4 adad
Bhallay Hasb E zarorat
Kabli chanay 1/2kg(boiled)
Red chili 1 tbsp
Namak 1 tbsp
Tamatar 4 adad
Green chili 6 ya 7 adad
Dahi Bhallay Recipe In Urdu |
Recipe:
Chanay aur aaloo pahly say hi boil kar kay rakhay honay chahiyen. Dahi bhallay bananay say aik ya 2 ghanta pahlay bhallay pani men bhigo kar rakh den phool jaen gy to dahi bhallay banaen. Aloo
aur tamater ko b chotay tukro men kat len. Ab aik barha sa bowl len aur us men
chanay, aloo, tamatar, payaz, sabaz mirchen aur bhallay dal kar mix kar len. Dahi
ko aik dusry bowl men daal kar blender ya fork sy achi tarah blend kar len. Ab dahi, laal mirch aur namak hasb e zarort mix kiye huvy chano men dal den. Agar dahi
ziyada garha ho to us men thora sa (adha cup) pani shamil kar len.Achi tarah
hall Karen aur akhir men chat masala upar chirak den. Mazedar dahi bhallay bina
kisi der kay tayar hein.
Apni qeemti raye say agah karty rahen.
No comments:
Post a Comment