Khubani Ki Meethi Chatni Recipe In Urdu How To Make Khubani/Khurmani Ki Chatni At Home
Khubani ki meethi chatni aksar shadi bayah pay khanay ko milti hai jo k bohat mazedar hoti hai. Aj hum khubani ki meethi chatni ghar pay bananay ka tariqa seekhen gey. Tou tamam cheeze ley ayiye aur banaty hein jhat patt khubani ki chatni.
Khubani Ka Meetha |
Khubani/Khurmani Ki Chatni At Home |
Ingredients/Ajza:
Khushak khubani 3 cup(chopped)
Namak 1 tbsp
Adrak 1 tsp
Cheeni 1.5 cup
Sirka 2 cup
Laal Mirch 1/2 tsp
Kishmish 1/2 cup
Water/pani 2 cup
Water/pani 2 cup
Recipe:
Khushak khubani ko achi tarah dho len aur aik rat k liye pani men bhigo kar rakh den. Subha khubani aur tamam cheezo ko aik sauce pan/pateeli men dal kar ubaal anay tak pakaen. Aur phir halki aanch kar k dam par taqreeban adha ghanta pakaen. Yad rakhen is doran waqfay waqfay say chamach chalati rahen. Jab chatni garhi ho jaye to choolah band kar k utar len. Mazedar khubani ki chatni tayar hai. Thandi honay par serve kren aur bottle men dal kar fridge men mehfooz kar skty hein.
Khushak Khubani |
Home Made Khubani Ki Chatni Recipe In Urdu |
No comments:
Post a Comment