Nargisi Koftay Banane Ka Tarika In Urdu How To Make Naragisi Koftay Recipe In Urdu
Ingredients:
Meat (qeema) 1 kg
Onion 1 tbsp
Khashkhash 1 tbsp
safaid zeera 1 tbsp
kali mirach 6 adad
kala zeera 1 tsp
Choti ilaichi 6 adad
Bhunay badam 6 adad
Eggs 6 adad
Double roti 3 adad
Soya sauce 2 tbsp
Laung 12 adad
Oil deep fry krny k liye
Nurgisi Kofta Recipe |
Recipe:
2 adad bareed kati hui payaz golden brown kar len. Ab aik saue pan men machine ka pisa huwa adha kilo qeema aur 2 tbsp namak dal kar qeemay ka pani khushak kar len. Anddo ko sakhat ubal len. Phir kachay aur ublay huway qeemay men 3 adad bread k slices mila den. Phir 1 tbsp khashkhash, 1 tbsp safaid zeera, 6 adad bhunay badam, 6 choti ilaichi, 1 tsp kala zeera, aur 6 adad kali mirchen mila kar pees len. Ab is pisay huway masala ko qeemay men mila kar chopper men bareek pees len. Phir namak, payaz aur sabaz mirchen mila kar achi tarah hath say qeema gondh len. Ab hath men oil ya ghe laga kar qeema len aur darmiyan men andda rakh k kofta bana len. Jab saray koftay tayar ho jae to aik frying pan men oil garam kar k bari bari saray koftay fry kar len. Mazedar nargasi koftay tayar hein.
Thanday honay par darmiyan say kat kar serve karen.
How To Make Nurgisi Kebab At Home |
No comments:
Post a Comment