Ghutno Ki Dard Ka Ilaj In Urdu How To Get Rid Of Knees Pain Solution IN Urdu Easy Tips And Tricks
Ghutno ki dard say chutkara panay k liye daraj zail nuskho par amal karen INSHALLAH kuch hi dino men afaqa hoga:
Home Remedies Of Knee Pain In Urdu |
Adrak Ka Istemal:
Adrak ko bareek pees len aur 2 chamach adrak paste ka salan bana kar khaen kuch hi dino men joro ki dard say nijat mil jaye ge.
Vitamin D:
Vitamin D hamaray jism k dhanchay ko mazboot rakhnay men eham kirdar ada karta hai. Isliye khas tor pe wo cheeze ziada istemal karen jin men vitamin D ziada miqdar men paya jata hai. jesa k fish, eggs, bakray ka gosht aur doodh. Is k ilawa dhoop seknay say bhi jism men vitamin D ki kami bohat had tak puri ho jati hai.
Ghutno Ka Dard Ka Gharelo Ilaj |
Haldi Ka Istemal:
Doodh aik aisi qudarti ghiza hai jo insan ki hadiyo ko mazboot banati hai. Is men paye janay walay vitamins insani jism k liye bohat mufeed hein. Ghutno ki dard k ilaj men haldi bohat hi mufeed cheez hai. Rozana aik cup doodh men aik table spoon haldi dal kar achi tarah garam kar k pi len. Kuch hi dino men joro ka dard jata nazar nahi ayega.
How To Get Rid Of Knees Pain In Urdu |
Thandi Cheezen:
Insan ka jism aik machine ki tarah hai. Isliye agar is men kisi bhi cheez ki kami ya ziyadti ho jaye to fori reaction ajata hai. Isliye jin hazrat ko joro men dard rehta hai unko chahiye thandi cheezo ka istemal kam karen kiyun k thandi cheezo k istemal say muscles shrink ho jatay hein jis say hadiyan din ba din kamzor ho jati hein.
Injeer Ka Istemal:
Sunnat E Nabvi (S.A.W.W) hai k injeer khanay say joro ka dard rafa ho jata hai. Isliye apni ghiza men injeer ka istemal matwatar rakhen. Week men kam az kam aik din thoray thoray waqfay say injeer khatay rahen.
Joron Ka Dard Ka Ilaj Tips And Tricks |
Dard K Liye Wazifa:
Jab bhi ghutno men dard ho ya jism k kisi bhi hisay men dard ho to waha hath rakh kar 7 martba ye ayat e mubarka ka vird karen. Awwal akhir 7 dafa durood shareef parhen INSHALLAH bina kisi medincine k aram ajae ga:
Joron Ke Dard Ki Dua |
No comments:
Post a Comment