Tuesday 5 January 2016

Nail Care Tips Home Remedies Nails Badhane Ka Tarika Nails Care Tips In Urdu

Home Remedies To Strengthen Nails In Urdu Nails Ko Badhanay Kay Tips & Totkay In Urdu Home Remedies For Strong and Healthy Nails

Lambay nails ki hifazat ba mushkil hoti hai. Lambay nails ki safae baqaida rakhna zarori hai. Kuch khawateen lambay nails ki shoqeen hoti hein taham inki hifazat itni asan nai hoti. Aksar oqat kam karty waqat nails toot jatay hein. To nails ko badhaney aur sehat mand rakhnay kay liye daraj zail steps par amal karen:
Nail Care Tips And Totkay In Urdu


Tips And Totkay To Grow Nails Instantly:


Doodh Ka Istimal:

Nails ko calcium ki kami ho to jaldi badhay nai ho patay isliye doodh piya karen. Roz rat ko sonay say pahlay aik cup doodh peenay say nails jaldi badhtay hein aur sehatmand bhi hotay hein.

Lehsan(Garlic) Ka Istimal:

Agar ap kay nails jaldi nahi badhtay tou is kay liye lehsan(garlic) ka istamal ziada karen. Lehsan ko cheel kar nails par ragarnay say nails jaldi lambay hotay hein.

Nails Chabanay Say Gurayz Karen:

Nails ko badhanay ya lamba karny kay liye zarori hai kay Nails ko chabanay say garaiz kare.
Home Remedies To Grow Nails

Nail Polish Kam Use Karen:

Koshish karen kay nail polish kam say kam istimal karen kiyo kay is say ap kay nails ki jild khurdari aur khushak ho jati hai aur nails kamzor ho jatay hein.

Lemon Juice:

Leemo kay ras dar chilkay ya leemo say nails ka masaj karnay say nails chamakdar ho jatay hein. Isliye haftay men kam az kam aik bar leemo kay chilkay say nails ka masaj kia karen.

Oliv Oil:

 Nails ko jaldi badhaney kay liye nails par zaitoo (olive oil) kay tail ka masaj karen.


Give us your feedback. For feedback click below in comment box. your comments are our aspirations.

No comments:

Post a Comment