Tuesday, 26 January 2016

Tikkay Banane Ka Asan Tarika IN Microwave Oven Chicken Tikka Recipe In Urdu How To Make Chicken Tikka Recipe In Urdu


Chicken Tikka Recipe In Urdu Chicken Tikka Homemade Recipe In  Microwave Oven In Urdu How To make Chicken Tikka At Home In Urdu


Ingredients:


Chicken boneless                       ½ kg
Namak                                        Hasb E Zaiqa
Haldi                                           ½ tsp
Lemon juice                                2 tsp
Laal mirch powder                      2 tsp
Adrak lehsan paste                     1 tsp
Kali mirch powder                       ½ tsp
Garam masala powder               1 tsp
Oil                                                2 tbsp

Chicken Tikka Kabab In Microwave

Recipe:



Aik bowl men chicken aur tama masala dal kar achi tarah mix kar len k tamam chicken pieces ko achi tarah masala lag jaye. Isay dhak kar 3 say 4 ghantay k liye rakh den.

Ab koylo par sake len ya microwave oven men 10 minute grill kar len ya gas oven men 180 degree par 30 minute k liye bake kar k koyelo ka dhuwa dey den.

Delicious tikka boti taya hai. Dahi ki chatni ya meethi chatni k sath garam garam serve Karen.

Chicken Tikka Banane Ka Tarika In Urdu

Chicken Wings Banane Ka Taika In Urdu Very Easy Chicken Wings Recipe In Urdu How To Cook Chicken Wings At Home In Urdu

Chicken Wings Recipe In Urdu How To Make Chicken Wings At Home Recipe Chicken Wings Banane Ka Tariqa In Urdu


Ingredients:



Chicken wings                  12 adad
Besan                                3 tbsp
Meda                                 3 tbsp
Laal mirch                          2 tsp
Namak                               Hasb E Zaiqa
Zeera                                 1 tsp (pees kar)
Garam masala                   1 tsp
Sookha dhaniya                 1 tsp (pees kar)
Backing powder                 1 tsp
Water                                 ½ cup

How To Make Chicken Wings Recipe

Recipe:



Chicken wings ko achi tarah say dho kar saf kar len.

Aik bowl men sab ingredients (besan, meda, laal mirch powder, namak, zeera, garam masala, backing powder) aur water dal kar achi tarah mix Karen aur paste banal en.

Phir aik karahi men oil garam Karen aur chicken wings k tamam pieces ko bari bari mixture men roll / dip kar k is men fry kar len. Golden brown honay par dish out kar len.

Be had lazeez chicken wings minto men tayar hein. Tomato ketchup ya chatni k sath garam garam serve Karen.

Note: chahen to chicken wings ko tamam masala laga kar tori der k liye rakh den aur bad men aik sath fry kar len.
Chicken Wings Banane Ka Tarika In Urdu

Top Tips Joro Ka Dard Ka Ilaj In Urdu Home Easy Remedies To Get Rid Of Knees Pain Ghutno Ka Dard Asan Gharelo Totkay

Ghutno Ki Dard Ka Ilaj In Urdu How To Get Rid Of Knees Pain Solution IN Urdu Easy Tips And Tricks


Ghutno ki dard say chutkara panay k liye daraj zail nuskho par amal karen INSHALLAH kuch hi dino men afaqa hoga:
Home Remedies Of  Knee Pain In Urdu

Adrak Ka Istemal:


Adrak ko bareek pees len aur 2 chamach adrak paste ka salan bana kar khaen kuch hi dino men joro ki dard say nijat mil jaye ge.

Vitamin D:


Vitamin D hamaray jism k dhanchay ko mazboot rakhnay men eham kirdar ada karta hai. Isliye khas tor pe wo cheeze ziada istemal karen jin men vitamin D ziada miqdar men paya jata hai. jesa k fish, eggs, bakray ka gosht aur doodh. Is k ilawa dhoop seknay say bhi jism men vitamin D ki kami bohat had tak puri ho jati hai.

Ghutno Ka Dard Ka Gharelo Ilaj


Haldi Ka Istemal:


Doodh aik aisi qudarti ghiza hai jo insan ki hadiyo ko mazboot banati hai. Is men paye janay walay vitamins insani jism k liye bohat mufeed hein. Ghutno ki dard k ilaj men haldi bohat hi mufeed cheez hai. Rozana aik cup doodh men aik table spoon haldi dal kar achi tarah garam kar k pi len. Kuch hi dino men joro ka dard jata nazar nahi ayega.

How To Get Rid Of Knees Pain In Urdu

Thandi Cheezen:


Insan ka jism aik machine ki tarah hai. Isliye agar is men kisi bhi cheez ki kami ya ziyadti ho jaye to fori reaction ajata hai. Isliye jin hazrat ko joro men dard rehta hai unko chahiye thandi cheezo ka istemal kam karen kiyun k thandi cheezo k istemal say muscles shrink ho jatay hein jis say hadiyan din ba din kamzor ho jati hein.

Injeer Ka Istemal:


Sunnat E Nabvi (S.A.W.W) hai k injeer khanay say joro ka dard rafa ho jata hai. Isliye apni ghiza men injeer ka istemal matwatar rakhen. Week men kam az kam aik din thoray thoray waqfay say injeer khatay rahen.

Joron Ka Dard Ka Ilaj Tips And Tricks

Dard K Liye Wazifa:


Jab bhi ghutno men dard ho ya jism k kisi bhi hisay men dard ho to waha hath rakh kar 7 martba ye ayat e mubarka ka vird karen. Awwal akhir 7 dafa durood shareef parhen INSHALLAH bina kisi medincine k aram ajae ga:

Joron Ke Dard Ki Dua